Geheri thi nind, Na thi koi aas, na koi ummed, Maine ik khwab dekha tha, Kuch milta- julta magar kuch undekha tha, Jo kbi ho ni skta haqiqat, Kyuki dagmagai si hai meri mohabbat ki masaafat(safar), Ye bhi maloom tha, Magar ye shaksh ab mera mashook tha, Mai muskurane lagi thi, Man hi man itrane lagi thi, Mann mai tha kafi darr, Kyuki tanha hi rahaa hai mera har safar, Lagta to chamatkar tha, Lekin mere dil ka vo karaar tha, Ab aalam ye hai ke isko haqiqat banana hai, Magar maloom nahi kaha mujhko jana hai, Kyuki ye to mehez ik Khwab tha, Na sach , na jhuth, be matlab sa magar ishq behisaab tha.. ~sakshi