Ho sakta hai mai galat thi, ho sakta hai mera tarika galat tha,
Magar mera tumse lagav,
Meri parwhaa vo galat nahi thi,
Ho sakta hai kuch baton mai meri tumhari raye alag thi,
Magar aisa nahi tha ki tumhari soch ki kadar nahi thi,
Ho sakta hai Maine apne jeevan k peheluyon ko alag tarike se suljhaya ho, aur tumne alag, ye bhi ho sakta hai ki na mai galat, na tum, na mai sahi ,na tum,
Kuch rahon mai nikal padhta aasan hota hai,magar sath chalkar har mod par sath nibhate jana bahut mushkil,
Ho sakta hai un raho par chalne k tarike bhi alag the humare,
Ho sakta hai tumhare sath ki ummed Jo Maine hmesha se ki vha mai galat thi,
Ho sakta hai dusro ko jab tumne jyada ahemiyat di to meri laazmi si chinta bhi galat thi,
Ho sakta hai dusro ka aana humare bich sahi sa hua ho kyuki do rishto ki dor kitni baarik ya mazboot hai yeh bhi to janna zaroori hi tha,
Chalo mai galat hi sahi,to kya humara rishta aur vo ehesaas bhi galat the.
_sakshi_
Comments
Post a Comment