Ik Kalpana panapti reheti hai mere andar,
Jaise Mano kahin pahuchna chahti hun main.
Gumsum si chupchap,
Vaise to hazaro sapne liye phirti hoo,
Magar kisi ek sapne k piche bhagna chahti hun main.
Laakh sun loon magar,
logo ki sakshiyat se baakhif hun,
Inki kahin raaho per nahi chalna chahti hun main.
Apna maqsad liye jee rahi hun,
logon ki nazro mai kya hun,
Nahi janana chahti Hun main.
Kabhi itni lachar si,
Kabhi bavandar si hun main.
Baat jo pasand na aaye to phir zamane se ladhna chahati hun main.
Toot jaati hun kai dafaa,
Na haari hun, na haarna chahati hoon main.
Mazboot hun,
vo chahte hain chup ho jau,
Magar unhi koo chup karana chahti hun main.
~sakshi
Mesmerized while reading
ReplyDelete♥️
ReplyDelete